Saturday, August 13, 2011

Sare Jahan Se Accha Hindustan Hamara song lyrics in English



Sare jahan se accha hindostan hamara
ham bulbulain hai is ki, yeh gulsitan hamara

Ghurbat men hon agar ham, rahta hai dil vatan men
samjho vahin hamen bhi, dil hain jahan hamara

Parbat voh sab se uncha, hamsaya asman ka
voh santari hamara, voh pasban hamara

godi men khelti hain is ki hazaron nadiya
gulshan hai jin ke dam se, rashkejanan hamara

aye ab, raud, ganga, voh din hen yad tujhko
utara tere kinare, jab karvan hamara

maz’hab nahin sikhata apas men bayr rakhna
hindvi hai ham, vatan hai hindostan hamara

yunanomisroroma, sab mit. gaye jahan se
ab tak magar hai baqi, namonishan hamara

kuch bat hai keh hasti, mit.ati nahin hamari
sadiyon raha hai dushman, daurezaman hamara

iqbal ko’i meharam, apna nahin jahan men
m’alum kya kisi ko, dardenihan hamara.

3 comments: